Ek Dukandaar Ke Bahar Likha Tha:
“Insaano Ki Tarah Baat 
Karne Wala Kutta Bikau hai”
Ek Aadmi Dukandaar Se Jaakar Boola:
“Main Us Kutte Ko 
Dekhna Chahta Hun…”
Dukaandaar Ne Kaha:
Sath Ke Kamre Main Baitha Hai,
Jaa 
Kar Mil Lo!
“Aadmi Us Kamre Main Gaya. Kurshi Par Ek Hatta-Katta Kutta Baitha Tha.”
Aadmi Ne Kutte Se Pucha: Kyun Bhai, Tum Yahan Kya Kar Rahe 
ho?
Kutte Ne Jawab Diya: Kar To Main Bahut Kuch Sakta Hun…
Lekin Aajkal Is 
Dukaan Ki Rakhwaali Karta Hun. Isse Pahile America Ke Jasusi Mahakme Main Kaam 
Karta Tha. Aur Kai Khookhaar Aatankvaadiyon Ko Pakadwaya hai…. Fir England Chala 
Gaya Jahan Police Ke Liye Mukhbari Karta Tha Ek Saal Baad Yahan aa Gaya.
Us Aadmi Ne Dukandaar Se Pucha:
Etne Gunwaan Kutte Ko Aap 
Kyun Bechna Chahte Ho??
“Awwal Number Ka Jhuta Hai” Jawab Mila 

No comments:
Post a Comment