Pareshan 
''PAPPU'' ki kahani...
Pareshan thi Pappu ki wife,
Non happening thi jo 
uski life,
Pappu ko na milta tha aaram,
office me karta kaam hi 
kaam,
Pappu ke boss bhi the bade cool,
Promotion ko har baar jate 
bhul,
par bhulte nahi the wo deadline,
kaam to karwate the roz till 
nine,
Pappu bhi banana chahta tha best,
isliye to wo nahi karta tha 
rest,
din raat karta wo boss ki gulami,
Appraisal ke ummid main deta 
salami,
din guzre aur guzre fir saal,
bura hota gaya pappu ka 
haal,
pappu ko ab kuch yaad na rehta tha,
galti se biwi ko behanji kehta 
tha,
aakhir ek din Pappu ko samaj aya,
aur chod di usne appraisal ki 
moh maya,
boss se bola,''tum kyon satate ho?''
''appraisal ke laddu se 
buddu banate ho''
''promotion do warna chala jaunga''
''appraisal dene 
par bhi wapas na aaunga''
Boss hass ke bola ''nahi koi baat''
''abhi aur 
bhi pappus hai mere paas''
''yeh duniya pappuon se bhari hai''
''sabko 
bas aage badhne ki padi hai''
''tum na karoge to kise aur 
karaunga''
''tumhari tarah ek aur pappu banaonga''
No comments:
Post a Comment