Akbar Badshah Birbal Ki Budhimani Ko Loha Mante The. Aur Iss Bat Ko Puri Sabha Mein Parkat Bhi Kar Dete The. Sabhasad Yeh Jante The, Ki Birbal Ka Jaddu Akbar Ke Dilo–Dimag Par Chata Hi Ja Raha H.
Birbal Hindu The, Baaki Unke Utraadhikari Sabhasad Musalman Thw, We Log Iss Baat Ko Bhi Pasand Nahi Karte The. Ki Akbar Musalman Hote Hue Ek Hindu Ko Itna Aadar Kyu De Jabki Badshah Dharm Mein Koi Farak Nahi Karte The. Wo Ro Puri Parja Ko Apne Bacho Ki Tarah Mante The. Sabko Saman Roop Se Pyar Karte The.
Akbar Ke Sabhasad Biral Ke Bare Mein Unke Kaan Bharte The. Akbar Iss Baat Ko Accchi Tarah Samjhate The Ki Yeh Sab Log Birbal Se Uski Budhi Ke Maare Jalte H. Ek Din Budhimani Ki Pariksha Ka Waqt Aa Gaya, Bahar Se Kuch Vephari Log Aaye The. Unhone Apna Salam Akbar Ko Bhijwaya Tha.
Apni Kushal Shem Puchwana Akbar Ka Naitik Kartweh Tha. Unhone Apni Sabha Se 3 Naukaro Ko Ek–Ek Sawal Kehkar Unki Kushal Shem Puchkar Aane Ko Kaha. Unn Tino Se Jo Parshan Btaye Gaye The We Usi Ka Utar Lekar Aaye.
Ek Ne Btaya– We Vehpari Door Desh Se Aaye H.
Dusre Ne Btaya– We Apne Desh Se Unn Ka Saman Laye H Use Yaha Bechna Chahte H,
Teesre Ne Btaya– Ye Log Yaha Vehpar Karna Chahte H.
Sath Hi Badshah Ne Birbal Ko Bhi Issi Kaam Ke Liye Bheja. Birbal Ne Aakar Btaya– Badshah Salamat, We Vehpari Iran Se Aaye H. We Sabhi Pani Ke Raste Apne Jahajo Se Aaye H. Apne Sath Wo Apne Desh Ka Kuch Saman Laye H. Wo Yaha Use Bechna Chahte H. Or Uske Badle Mein Yaha Se Masala Aadi Le Jana Chahte H. Raste Mein Unko Kisi Tarah Ki Pareshani Nahi Hui. Yaha Jo Wo Log Vehpar Karenge Uske Badle Mein Badshah Salamat Ko Kar Denge.
Birbal Iss Tarah Vehpariyo Ki Puri Report Laya Tha Na Ki Aur Sabhasado Ki Tarah Ek Ek Sawal Ka Jawab.
Akbar Ne Apne Sabasado Se Jo Unse Birbal Ke Bare Mein Shikayat Karte The Unse Kaha. Tum Mein Aur Birbal Mein Bas Yahi Farak H. Birbal Tum Logo Se Kahi Adhik Budhiman Aur Akalmand H.
Akbar Ki Ye Baat Sun Sabasad Aur Bhi Jal Uthe. Lekin Isse Birbal Ko Kya Asar Padne Wala Tha.
No comments:
Post a Comment