Wednesday, September 11, 2013

Ek Daulatmand Kisaan

Yah ek daulatmand kisaan ki kahaani hai jise yah kaha gya ki wah ek din me jitni jameen par chalega wah uski ho jayegi; basharte ki wah suryast se pahle suruaat ki jagah par aa jaye! Jyada-se-jyada jameen pane ke liye wah kisaam subah tarke ki nikal pada, aur khoob teez chalne laga! Thakaan ke baavjood bhi wah chalta rha kyunki livan me ek baar prapti sunehare mauke ko wah khona nhi chahta tha!!

Jab din dhalne lga to achanak use sharte yaad aayi ki suraj dubne se pahle use suruwaat ki jagah par pahuchna hai! Lalch me wah bahut dur tak chala gya tha! Dubte suraj par nazar rakhte huye usne tezi se aana suru kiya! Shaam jaise-jaise karib aati ja rahi thi, wah aur teez daud raha tha! Wah thakkar chuur ho chukka tha, aur saans ukhad rahi thi, lekin wah jabardasti aagey badta raha! Suruwaat ki jagah par pahuchte hi wah pachhad khakar gir pada aur mar gya! Suraj dubne se pahle wah wapas to jarur aa gya tha aur puri jameen bhi uski ho gayi thi, Lekin use dafnaya gya aur iske liye jitni jameen ki jarurat padi thi, wah ek chota-sa tukda tha!!!!!!!!!!!1

Moral:- Kisaan chahe amir tha ya garib, iska itna mahtwa nhi hai kyunki koi bhi lalchi insaan us kisaan ki jagah hota to uska bhi yahi hasr hona tha!!!!!!!!!!!!!!!!!

No comments:

Post a Comment