Tuesday, January 28, 2014

Ek Pedh Do Malik

Akbar badshah ke pass ek anokha jhagda aaya. Dono ke bich aam ke pedh ko lekar vaad-vivad tha. Ek aadmi ka naam tha keshav aur dusre ka radhav. Dono padosi the. Unke ghar ke samne khali padhi jamin par ek aam ka pedh tha. Aam ke pedh par usi saal bor(aam lagne se purv phool) aakar aam lage the. Keshave kehta tha- pedh mera h, raghav ka dava tha pedh uska h. sabse badhi dikkat yeh thi ki 3 mahine pehle pedh ki rakhwali ke liye naukar rakha gaya tha. Naukar ka kehna tha ki use pedh ki rakhwali ke liye dono ne hi naukar rakha tha use dono ne hi aadha aadha paisa diya tha. Ath: use bhi nahi malum ki pedh kiska h. ?
Badshah ne unko faisla karne ki jimmedari birbal par chod di.


Hindi_akbar_birbal


birbal ne dono ki baate suni. Dono apni-apni baat se tas se mas na hue. Rakha gaya naukar bhi apni baa toe adha raha ki weh dono ko davedar manta h. sab aas-pass ke rehne walo ko bulakar pucha gaya to koi puri tarah se kisi ek ko malik nahi chun paya. Sab ka kehna ubb dono ko hi pedh ke niche aate jate pani dete hue dekha gaya h. aur dono hi pedh ke aadhe aadhe maalik banne ko tayar na the. Or birbal ko faisla bhi uchit karna tha.

Ab birbal ne dono davedaro ko yaha se jane ki aagya dekar agle din aane ko kaha. Or naukar ko apne yaha rokkar birbal ne kaha- we faisla dene tak chokidari khud kara lenge. Raat ke koi 9 se 10 baje ke Karib apne do vishwast naukaro ko pedh ki rakhwali ke liye bhejte hue unhe kuch baat birbal ne samjhayi. Unke piche rakhwale chokidar ko pehle keshaw ke yaha bhejkar birbal ne kehlwaya-
aam ke pedh ke niche kuch chor najar aaye h - raato raat saare aam todkar le jana chahate the- chalkar unhe dekho -
keshaw uss samay ghar tha nahi- patni thu, usne sandesh suna aur boli- unko aane do bhej dungi.
Rakhwale ne raghav ke ghar jakar- usi andaj se birbal ki shikayi baat kahi. Itfaq se raghav bhi uss waqt ghar na tha.

rakhwale ke sandesh de aane ke baad, birbal ke bheje dono aadmi keshaw aur raghav ke ghar ke piche deewar ki aadh mein andere ka lab uthakar chup gaye. keshav ghar aaya to uski patni ne rakhwale chokidar ki baat btayi keshav bola: khana lagao- baigar khaye piye choro se muqabal karne kaun jaye. Jo kuch hoga subh dekha jayega or fir konsa pedh mera h. -kyu apni jaan khatre mein dalne jau- chor fhal churane aaye h, to hathiyaar bhi laye honge." Yeh kehkar khana khakar keshav palang par soo gaya. Aur dusri ar jab raghav ghar aaya to uski patni ne btaya ki kuch chokidar aaye the or unhone ye sab kaha. To usne bhagkar lathi uthayi aur pedh ki tarah bhaga.

patni pehle khana to kha lo
raghv: khana to baad mein bhi khaya ja sakta h lekin chor fal keg aye to dobara nahi aayenge. Itne saal baad aam aaye h unki dekhbaal jaruri h.
dono ki baate sunkar chowkidar ne birbal ko pura sandesh sunaya. Or agle din jab ragav aur keshav birbal ke pass faisla sunne pahuche to baat kaafi had tak saaf thi. Or wo saari ghatna birbal ne raghav aur keshaw ko sunayi or raghav ko uska pedh saup diya. Aur keshav ko juth bolne ki saja mili.

No comments:

Post a Comment