Tuesday, January 28, 2014

Jagar–Magar

Akbar ne bhari shaba mein ghosna ki iss baar muhrram par sabhi darbari apne mehalo ko acchi tarah sajaye. Jiske mehal mein sabse acchi roshni hogi, use purskar diya jayega. Muhrram ke din badshah ghode par sawar hokar birbal ke sath darbariyo ke mehalo ki roshni dekhne nikle, sabhi ke mehal jagar–magar kar rahe the, birbal ke mehal kea age raja rook gaye, bole–bas, do–char Deepak, tumne humari aagya ka palan nahi kiya h.

badshah ko lekar birbal nagar ke bahar garibo ki basti mein gaya, waha jhopdiya prkash se damdama rahi thi, birbal badshah akbar se bola, dekhiye aapki aagya ka maine hi sahi palan kiya h inhe hi roshni ki sabse jyada jarurat h badshah ne muskura kar purskar ki rashi garibo mein baat di.



akbar_birbal

Jute Chipaye gaye



Raja darbar mein baithe the. Inhe birbal se hasi karne ki suji. Ath: ek naukar se kehkar birbal ka juta chipa diya aur birbal ko aisa kaam batlaya jiski wajah se unhe sabha bhawan ke bahar jana pada ab whe apna juta khojne lage. Lekin waha to pehle se hi karwahi ki ja chuki thi. Jab birbal hairan ho gaye, to raja ne uski pareshani ka karan pucha to malum hua ki juta nahi mila raha h raja ne hokum diya ki humari taraf se inhe jute de diye jaye. Raja ka hukam pakar naukaro ne naya juta lakar birbal ko pehna diya. Jab juta pehan chuke to birbal bole ki iske badle mein bhagwan parlok mein hazaro jute de. Meri yeh mangal kamna h.

Birbal ki yeh baat sunkar akbar sharm se nat mastak ho gaye.

No comments:

Post a Comment