Thursday, October 9, 2014

Insaaf ki reeti



Ek baar birbal se kuch galti ho gayi - darbariyo se badshah ke kaan bhare. Akbar badshah ne darbar lagakar birbal se kaha - "ab jab ki yeh baat saabit ho chuki hai ki tumse galti hui hai to iss baat ko bhi tum samjhate hoge birbal ki tum saja ke haqdar ho gaye ho.

"birbal : bilkul badshah, mein saja ka haqdar ho gaya hu, magar mein aapko yaad dila dilana chahta hu, jo ek baar shikar ke awesar par apne mujse kiya tha."

Waada yaad dilaye birbal ji

"badshah aapne mujhse waada kiya tha yadi mujse koi bhul ho jaye to dand dene ka adhikar mein apni iccha ke logo ko sopunga.


Motivational Story

Badshah halke se muskuraye or bole, bolo birbal tum dand dene ka adhikar kise saupte ho.

"kinhi bhi panch gaon ke chodariyo ko ye baat saup dijiye. We jo saja denge mujhe manjur hogi."

Birbal ki baat sunar sabhi darbari kushi se pagal hue jaa rahe the or aas-pass ke gaon ke chodriyo ke naam sujhaye jaa rahe the. Agle din paanch gaon e chodri haajir hue. Birbal se chid khane wale darbario ko puri aash thi ki iss baar birbal khud ke bichaye jaal mein puri tarah fas jayenge. Unhone socha badshah to ek reham ki apeel dete hi saja maaf kar sakte the. Magar gaon ke chodri nahi weh wasool ke pakke bhi hote hai or birbal se chid bhi karte hai. Or weh kisi ko bhi maaf nahi karte.

Chodriyo se socha –darbariyo ke kaheansuar iss awesar ko khona nahi chaiye- ath: birbal ko aisi saja deni chaiye ki birbal zindagi bhar yaad rakhe. Aur zindagi mein kabhi phir se ye galti na kare.

Chodriyo ne kaha ki birbal ka aparadh bahut badha yse 150/- jhurmana dena chaiye. Dusre ne itni badhi saja weh bhi jhurmane ki manjur n ki. Weh birbal ke bacho ke bare mein soch raha tah kahi unn par iska koi farq na pade. Kahi wo bhuke na mar jaye. Or usne jhurmana ghatakar 100/- kar diya. 3 chodri aur dayalu nikla or usne ise ghatkar 60 /- kar diya. Chote ne socha mein yuhi baitha rahunga to mera maan kam hoga. Or usne iss jhurmane ko ghatkar 40 /- kar dia . lekin abhi paanchve chodri ki baari thi use apna waha baitha nirarthak laga ki mein insaaf hi nahi karunga to baithne ka kya faida or usne ghatakar 20/- kar diya . or kaha ki agar birbal ye rakam kisto mein ada karna chahe to kar sakte hai.

Badshah unke jate hi jor se hase. Or darbari apni haar ko jhel kar badhe dukhu the. Or birbal se kaha wah birbal ji aap yaha bhi apni akal laga gaye. jhurmane ki saja bhi ho gayi, nyay bhi ho gaya or tum par koi asar bhi nahi.

Bhala 20 /- jhurmana bhi koi jhurmana hua wo bhi tum jaise aadmi ke liye or isme bhi sakti n dikhane ki baat kahi gayi hai. Baaki mein badshah hone ke naate tumara yeh jhurmana bhi maaf karta hu.

No comments:

Post a Comment