Sunday, June 2, 2013

Atal ji ki kahani

bharat ke lokpriy
pradhan matri ji se mai puch baitha
anayas
atalji aap kyo hai itne udas
pehle to aap har dam muskurate the
khud haste aur janta ko hasate the
manniy,yah kaisa badlav hai
kal tak chahre par dhup the
aab yah kaise chav
yah sun pradhanmantri thode se hichkichaye
phir bole,beta
tuje nhi hai pata
ek taraf lalitaji itaraati hai
dusre taraf mamta bhi muje aakh dikhlati hai
George bhi ho gaye kuch jyada chaarj
chandra babu mang rahe hai samarthan ka sarcharj
hegde bhi hai aab ade
surjet aur samta bhi apni mang le
ho gaye khade
adwani ne to kar di meri vani
kya kahu beta muje meri ram kahani
bin pyasa mang raha mai pani
bekar kar di inhone meri budhi jawani 

No comments:

Post a Comment