Sunday, November 9, 2014

Jokes Duniya

Bania market jata hai underwear purchase karne.
Bania: Yeh kitne ka hai?
partywear.jpg
Shopkeeper: Rs 500.
Kanjoos Bania: Arey bhai daily wear dikhaao, party wear nahi.
.......................................................................
Customer: Ek kilo gaay(cow) ka doodh dena.
cow-milk.jpg
Shopkeper: Lekin tumhara bartan toh bahut chhota hai.
Customer: Theek hai toh phir bakri ka de de.
.......................................................................
Ek gora aadmi tha. Jab uska ladka paida hua toh woh kala tha.
Tabhi woh apni patni ke paas jata hai aur poochta hai, “Yaar main bhi gora tha tum bhi gori thi to bachcha kaise kala paida ho gaya”
blackson.jpg
Aur phir uski biwi ne jawab diya, “Darling main bhi hot tum bhi hot sayad bachcha jal gaya hoga.”
.......................................................................
Nayi(new) doctor ne apni life ka pehla operation kiya! Operation ki thodi der baad hi marij mar gaya!
praying.jpg
Marij ke marne ke baad doctor ne diwar par tangi bhagwan ki taswir ki ore haath jodkar sir jhukate hue puri shradha ke saath kaha: Hey prabhu meri ore se yehpehli bhet swikar kijiye!
.......................................................................
Ek sharabi ne bahut zyada sharab pee le. Jab woh ghar aaya to uss ne jeb se chabi nikali aur tala ko kholney laga.
Haath kaapne ke wajha se chabi kabhi idhar hat jati kabhi udhar hat jati, ek admi pass se guzra toh sharabi ne usey bataya ki tala nahi khul rahi hai.
drunk.jpg
Uss shaks ne sharabi ke pass ja kar kaha, “lao chabi tala main khol deta hoon”
Aur phir sharabee ne kaha, “Tala toh main hi kholonga bas tum makan ko pakar ke rakhna”

No comments:

Post a Comment