Kisi karanvash badshah ne rusht hokar birbal ko chodkar kahi aneh
jagah jane ka aadesh diya, aadesh pakar birbal kisi door ke goan mein bhesh
badalkar jeevan bitane lage. Ishwar ki kripa se unhe kahi kasht nahi hota tha,
birbal swabhimani purush the. Badshah ke bina bulaye kaise aate, ek din badshah
ko unki yaad aayi to milne ke liye badshah utawale ho uthe, lekin kisi ko unka
pata thikana bhi to malum n tha.
Har jagah pata lagane wale dodaye gaye lekin kuch pata n chal saka, badshah ko iss mauke par ek upaye sujha unhone sehar mein munadi karake kaha jo koi aadhi dhoop aadhi chaya mein hokar mere samne aayega use ek hazar rupee inaam ke roop me diye jayenge.
iski khbar sare sehar thata gaon mein fail gayi, sabhi ke mooh mein pani bhar aaya. Lekin kisi ko kuch bhi upaya n suja. Iss baat ki khbar birbal ke kano mein pahuch gayi. Unhone apne hi hatho se bich bich mein jagah chodkar ek khaat buni.
Iss khat ko ek padosi garib kisan ko dekar kaha ki dekho iss khat ko sir par rakh kar jana aur neveden karna ki aapke saamne aadhi dhoop thata aadhi chave mein aaya hu. Inaam ke paise mujhe milne chaiye.
Birbal ke kaheanusar hi uss kisan ne khat ko sir par rakhkar badshah ke mehal ka rasta liya thata badshah ke samne upastith hokar birbal dwara batlaye gaye nivedan ko keh sunaya.
Badshah samjh gaye ki yeh kisan ki dimaag ki upaj nahi h aur kisan se bole tum sach-much btao yeh upaye tumko kisne bataya.
Kisaan ne sara haal sach sach bata diya, ki ek birbal naam brahman ne, jo kuch dino se humare gaon me aakar reh raha h mujhe karne ki anumati di h.
Badshah uss garib kisan par birbal ka pata lag jane se bahut khuc hue,
Ek hazar rupee uss kisan ko dilaya gaye thata do darbariyo bhi uske sath bhej diye gaye jo birbal ko aadarpurwak nagar mein laye.
Iss tarah apni chaturayi se birbal badshah ka manoranjan karte the.

No comments:
Post a Comment