Ek din akbar badshah ke darbar mein bato hi bato mein darbariyo ne
birbal par chot ki-"birbal sirf baato ki teerandaj h, agar sachmuch ka
teer chalana pade to nani-dadi yaad aa jaye"
"mein sachmuch ka bhi teerandaj hu.." birbal ne kaha
"birbal ka nishana galat ho jaye to jo chor ki saja weh meri"
Darbariyo ko laga- apni baato ke jaal mein birbal khud fas gaye h unhone badshah par jor dala ki isi samay birbal ki teerandaji ka kamal dekh liya jaye. Sab maidan mein pahuche. birbal ke hath mein teer aur Kaman thama diya. kuch fasle par stith pedh ko lakshe banakar teer chalane ko kaha gaya.
Budhi ka teer chalane wala, bhala sachmuch ke teer se nishana lagana kya jane - unhone pehle teer choda jaahir h teer lakshe par n lagkar aage nikal gaya. birbal ne jhat chikkar kaha-"yeh rahi mulla do pyaza ki teerandaji.."
Mulla chid gaya. Unhone dusra teer nikal kar Kaman par chadaya weh teer bhi nishane par n laga. Birbal bhala kaha chukne wale the- aawaj buland kar kaha-"yeh rahi raja todarmal ki teerandaji"
Raja todarmal bhi muskurakar mooh chipa baithe.
birbal ne teesra teer Kaman par chadaya. Sanyog se weh nishane par lag gaya tab birbal ne badhe ruwab se kaha- "aur yeh rahi birbal ki teerandaji"
"wakai..." akbar haskar bole-"aapne teerandaji ke sath-sath bato ki bhi teerandaji chodi"
Jaith-baishak ka tapta hua mahina tha. Ramjan ke din chal rahe the. Ek din ka roja(fast) rakhna akbar badshah aur mulla do-pyaza jaise logo ke liye kaafi bhari padh karta tha, par dharm-riti thi, jise nibhana bhi tha.
Ek din sham ko mulla do-pyaza ke sath sair ko nikle badshah ghumte hue birbal ke ghar ja pahuche. Badshah jante the ki birbal ke sath kuch der jee behal jayega tatha mulla do-pyaza ke sath birbal kin auk-jhok ka bhi maja aa jayega. Jis samay shahi sawari birbal ke ghar ke samne pahuchi, uss samay lu ke thapade chal rahe the. Birbal makan ke tehkane mein andheri aur thandi Kothari mein aaram farma rahe the.
Badshah ne waha pahuchkar pucha-"aap saat pardo ki piche kyu chupe h"
Mulla do-pyaza ne turant chot ki-"jille subhani aapko to malum hi h ki islaam dharm ke mutabik ramjan ke mahine mein shaitan kaid kar diya jata h"
Usne birbal ko shaitan bata diya tha
Badshah ke hontho par muskan khalne lagi par birbal bhi bhala kab chukne wale the. Unhone kaha-"accha, shayad esliye mulla sahab badshah salamat ko pakadkar yaha le aaye h" Yeh sunkar badshah ko hanste-hanste bura haal ho gaya. Jaisa ki mashur h mulla-do-pyaza aur birbal mein chalti rethi thi. Mulla do-pyaza ki kaafi umar ho chuki thi, par abhi tak we avivahit the.
Ek din badshah akbar ne mulla se puch liya-"aap shadi kyu nahi karte?"
Mulla-do-pyaza ne kaha-"mein kisi vidhwa se shadi karna chahta hu, taaki vivah bhi ho jaye aur punhe bhi ho jaye."
Birbal ne jhat kaha-"aama! Aap vivah to kare. Kuch din baad weh khud hi vidhwa ho jayegi"

Shaitan ka Bhai

No comments:
Post a Comment