Tuesday, January 28, 2014

Begam Aur Naukarani

Ek din badshah jungal mein shikhar khelne jaa rahe the. Raste mein ek jungle aaurat ke ladka paida hote dekha, weh aurat ladke ke janam lete hi usse thokre mein rakhkar sir par utha liya. Aur khusi khusi gaon chali gayi. Badshah ne uski aisi laprehwahi dekh mann mein socha. Aakhir yeh bhi to aaurat hi h. phir begam ke ladke paida hote samay itna nakhra kyu dhiklati h?

Badshah ka mann begam ki taraf se phir gaya aur usi din se kathayi unse bolna chalna band kar diya.
Begam badshah ke iss akaran krodh se bahut ghabrayi hui aur lachar hokar birbal ki sharan mein gayi. Birbal ne unhe bhali–bhanti aashwasan dekar unka dukh door karne ka vachan diya aur bola– bhagwano se bagh sinchne ko manahi ka do.

Begam ne waisa hi kiya. Chand dino mein pani ke aabhao mein bagh ke saare phode murja gaye. Yeh dekh badshah bahut krodhit hue. Aur begam se pucha– pedho mein pani dalne ki manahi kyu ki gayi aur kisne ki?
Begam boli– swami humari aagya se maaliyo ne bagh sinchna band kar diya h hum logo ne vichar kiya ki jab jungal ke pedh podhe bina sinche hare–bhare rehte h inn bagho ke pedho ko sinchne ki kya jarurat h ? badshah begam ki manshah taadkar chup reh gaye, begam ke parti unke mann ka malal jata raha.



birbal akbar ke latife


Kat Kar Reh Gaye


Akbar badshah ne apne liye naye jute mangaye the. Darbar mein har koi juto ko dekhkar unii taarif kar raha tha. Birbal ke aane par unhe bhi jute dhikaye gaye. Unhe dekhkar birbal bola – alijaha ye jute kitne ke h? pure 200 rupee ke badshah ne utar diya. ek kitne mein pada ? 100 rupee ka badshah ne tatkal hi utar de dala. Aur phir apni hi baat par khus hi kat kar reh gaye.

No comments:

Post a Comment