Tuesday, January 28, 2014

Char Murkh

Ek din manoranjan ke waqt badshah ke mann mein ek baat aayi sansar mein murko ki ginti soo se adhik h parntu mein char murkh dekhna chahta hu jinki jod ke dusre murkh n ho, badshah ne birbal se kaha iss dang ke char murkh talash karo ki jinki jod ke dusre n mile birbal ne kaha jo aagya hujur.
Dundne walo ko kya nahi mil sakta kewal sachi lagan honi chayie kuch door jane ke baad birbal ko ek aadmi dhikayi pada jot halo mein paan ka ek joda bida aur mithayi liye badhe uthshah se nagar ki taraf jaldi bhaga jar aha tha.
Birbal ne uss aadmi se pucha kyu sahib yeh saman kaha liye ja rahe ho jo aapke pair khusi ke maare zamin par nahi pad rahe h.



Char murkh

Aapke mann ko janne ki mujhe badhi iccha h, ataveh thoda kasht kar batlate jaye. Uss aadmi ne birbal ko talne ki kosish ki kyunki weh apni niyat jagah par jaldi pahuchna chahta tha. Parantu birbal ne bar-bar use btane ka agreh kiya tab weh insaan bola mein late ho raha hu, parntu aapke itni baar puch lene par bata dena bhi jaruri h.
Meri aurat ne dusra khsam kar liya h uske bhulae par uske naute mein ja raha hu.
Birbal ne uss aadmi ko apna parichay dekar rok liya aur kaha tumhe badshah ke pass chalne hoga tab hi tum aage ja sakoge weh badshah ka naam sunkar darr gaya aur lachar hokar birbal ke sath ho liya.
Weh isko lekar aage badha devyog se raste mein ek godhi sawar mila weh aap to godhi sawar tha par apne sir par ek badha gatthar rakha hua tha.
Birbal ne uss aadmi ne pucha kyu bhai ye kya mamla h.aap apne sir ka bhoj godhi par ladhkar kyu nahi le jate. Uss aadmi ne utar diya garib parwar meri yeh ghodi garbhini h aisi dashamein uss par itna bojh nahi lada ja sakta.
Yeh mujhe le ja rahi h ye kya kam ganimat h, birbal ne dara dhamka kar uss ghodi swar ko bhi apne sath le liya,
ab birbal dono ke sath badshah ke pass pahucha birbal ne kaha ye charo murkh aapke samne h.
Badshah to do ko ho dekh raha tha atah: bola teesra tatha chauta murkh kaha h?
Birbal ne kaha teesra number hujur ka h jo aapko aise murkh dekhne ki iccha hoti h chota murkh mein hu, jo inhe dhundh kar laya hu.
Badshah ko birbal ke aise sahi utar se badhi khusi hui jab unhe dono ki murkhta ka parichay mila to khil–khila uthe.

No comments:

Post a Comment