Thursday, October 3, 2013

Murgi ka Aanda

Akbar badshah ko ek din birbal ki hasi chudane ki iccha hui, to unhone unke aane se pehle bazar se murgi ke ande mangwakar apne darbariyo ko eke k anda baat diya. sirf birbal reh gaye. Wo thodi der baad jaise hi darbar mein hazir hue. Badshah ne kaha deewan ji humne raat me ek badha ajib sapna dekha h. uska tatprey yeh nikla h, jo aadmi iss hoj mein dubki lagakar ek murge ka anda n nikal payega, use do bapo ka mana jayega. Mera vichar h sabki bari bari se pariksha li jaye, sapne ki asaliyat ka bhi pata chal jayega. Phir badshah ki anumati se sab dardbariyo ne hoj meij dubki markar hatho mein murgi ka anda lekar bahar nikle, jab birbal ki baari aayi to weh hoj mein dubki lagakar weh khali hath nikal aaye, kintu unke much se kukdu ki awaaj nikal rahi thi.


akbar-birbal

Badshah ne kaha deewan ji tumhara anda kaha gaya jaldi se dhiklao?
Birbal ne utar diya: hujur badshah salamat?
Tamam ande dene wali murgiyo ke bich mein me hi ek murga hu.
Unke assah ko samjhkar sab darbari seham gaye.
Jab ki badshah ki honto par muskurahat khilne lagi.

No comments:

Post a Comment