Thursday, October 3, 2013

Sehzada aur Saudagar Putar

Badshah sehzade aur ek saudagar ke putar mein badi mitarta thi yaha tak ki dono hi sath sath uthte-khate-pite, pehante, sote, the Dono idhar udhar ki ghapshap mein apna waqt nikal dete the usse maa-baap badhe dukhi aur pareshan raha karte the.
Saudagar aur badshah ne uski mitarta kam karane athwa badshah se kaha ki nishchaye hi weh dono ki mitartha mein koi rukawat daal hi dega. Ek din jab ki dono sehzade aur saudagar ka putar bagh mein baithe hue the. Birbal apne rath mein pahuche aur sehzade ko ishara karke bulaya.
Pass aane par unhone uske kaan mein apna mooh rakha aur kaha jao yeh kehkar we chale aaye.
Udhar saudagar putar ne sehzade se pucha ki birbal ne tumse kya kaha tha.



akbar-birbal

Sehzade ne utar diya usne to kuch nahi kaha aise hi bulaya tha.
Yeh sunkar saudagar putar ne socha jarur sehzada humse kuch chipa raha h. warna birbal ne jo kuch bhi kaha h use bata deta.
Aise hi 2–3 din baad birbal ne phir sehzade ko bulaya aur usi tarah bina kuch kahe wapas bhej diya.
Saudagar putar ke puchne par sehzade ne jawab diya ki aaj bhi usne mujhe kuch nahi kaha. ab to saudagar putar ke dil mein puri tarah se sandeh ho gaya aur we hiss sehzade se kafi khichaw rakhne laga. Sehzada bhi uske iss bartaw se aparshan hua.
Aakhir unn dono ki mitarta ekdum toot gayi aur apna kaam karne lage. Saudagar aur badshah ko bhi inse badi khusi hui aur birbal ki inaam mila.

No comments:

Post a Comment