Thursday, October 3, 2013

Sabse Badha Manhus

Ek din nagar kotwal ek aadmi ko pakadkar darbar mein le aaya. Badshah ke samne uska apradh sunate hue kaha.
hujur aala, yeh aadmi bahut manhus h, iski wajah se nagar ke logo ko badhi takleefe hoti h. sakdo logo ki shikayate aa chuki h. ek hi shikayat h ki weh apni beti ki sagayi ko lekar jaa raha tha, subh subh iski surat dekh li saghai tut gayi. Dusre ki shikayat- ki weh shikar khelne jaa raha tha, shikar par nikalte hi iski shaqal dekh li, shikar to door raha ghode se girkar langda or ho gaya, teesre ki shikayat h iski shakal dekh li to uska ladka marr gaya. Chote ke ghar mein aag lag gayi.....
Nagar kotwal aur logo ki shikayat rakhta usse pehle hi badshah bole- bas bas, ab iss aadmi ko bhi kuch kehne ka mauka diya jaye phir ghumkar badshah ne laye hue aadmi se kaha-bolo, tumhe apni safai mein kya kehna h?
jahapanha log aisa kethe h, esliye mein apni safai mein kya kahu
Darbariyo mein se kisi ne kaha- aise aadmi ko desh nikala de do, warna janta ko aaye din taqleefe bhogni padegi,
Birbal khamosh baithe sahi awsar ki partiksha kar rahe the. Badshah bhi aisi andvishwas bhari baat swikar karne ko tayar n the. Magar shikayato par bhi dhyan bhi dena tha, soo unhone kaha-thik h , mein khud aajmaunga, uske baad koi faisla karunga
Yeh kehkar uss aadmi ko badshah ke uss mehal ke hi ek hisse mein therne ko kaha.
Agle din subh uthte hi sabse pehle uska mooh dekhne gaye-manhus ko jagakar uska mooh dekha. Itfaq ki baat h uss din iraan or iraak ke kuch mehman badshah ke pass raj-kaj mashware ke liye aa gaye. unke sath badshah kuch aise uljh gaye ki subh se sham ho gayi, ne to khana hi nasib hua or na hi jal.
Sham ko thake-mande badshah aaram karne ko lete to unhe yeh baat dhyan aayi ki aaj to ann-jal nasib nahi hua. Kisi chaplusi darbari ne dhyan dilaya. Yeh sab uss manhus ki shkal dekhne ka natija h badshah salamat



sabse badha manhus


Ab to badshah ko bhi yakin aa gaya. Unhone fauran darbar lagwya- amnhus ko darbar mein haajir karne ka hokum sunaya. Saja sunayi-kal iss manhus ke baar mein saja the ki gayi thi, ise desh se nikala jaye- magar mere vichar se ye saja kam h , aur ye jaha bhi jayega aur logo ko kasht uthana padega jaisa ki gaon walo ke sath or mere sath hua. Aise manhus aadmi ke liye bas ek hi chara h ise fansi chada diya jaye.
Fasi ki saja sunte hi manhus ke mooh par kaalima daud gayi- birbal ne apna sthan choda.
tumhe kuch kehna h birbal-? badshah ne pucha.
agar aapki aur se kuch kehne ka hokum ho jahapanha to banda kuch kehna chahta h
jarur-jarur....
kya mujhe manhus se kuch puchne ki ijajat h
Kyu nahi ? badshah bole
bhai manhus ek baat btaoge-daro mat tumhe saja nahi mileghi- bas itna bata jao ki aaj subh subh tumne kiski shakal dekhi thi? Jiski manhusiat ke saye mein tumhe saja sunayi gayi hujur- badshah salamat ne hi aakar mujhe jgaya tha maine inka hi mooh dekha tha
aap sawah insaaf kare jahapanah- aapne iska mooh dekha to ann jal na mila, isne aapka mooh dekha to ise fasi ki saja sunne ko mile. yaha gortalab baat yeh h ki sabse badha manhus kaun hua. Badshah par jaise ghado pani bhar gaya.



© http://www.rdshayri.com/birbal/sabse_badha_manhus.php#ixzz2gerCzoDW

No comments:

Post a Comment