Thursday, October 3, 2013

Udad ki Daal aur Baniye ki Chaturayi

Grism ritu thi. Badshah thata birbal mehal ke upari hisse mein baithe yumne ka parwah dekh rahe the. Thandi hawa se dono ka mann parfulit ho raha tha. Aapas mein baate ho rahi thi. Badshah ne birbal se pucha ki aadmiyo mein sabse chatur kis jaati ke log hote h. birbal ne utar diya ki jahapanha! Baniye sabse chatur hote h. badshah ko bina dekhe vishwas n hota tha. Birbal se iske liye praman manga. Birbal ne tatkal naukar ko bulakar bajar se udad ki dal mangwayi. Aur nagar ke 7–8 baniyo ko bulwaya. Baniye log birbal ka bulawa sun pehle to ati ghabraye kintu lachar ho mehal mein pahuche. Badshah bhi uss samay upastit the. Uss samay birbal ne sab baniyo ke hath mein thodi thodi udad ki dal dekar kaha ki iss anaj ka naam btao. Sab baniye mann mein sochne lage ki yeh to h, wastu aisi jise praye: sabhi log jante h. iski paidawar bahuda sabhi jagah hoti h. aakhir birbal ne hum logo se pucha h. to isme aveshe kuch daal me kala. esliye samaj bhujkar utar dene se accha hoga anyatha pachtaye ke siwa kuch n hath lagega. Baniye ke mukhiya ne hath jodkar nivedan kiya ki hujur! Hum sab aapas mein iska nisceh kar batlayenge. Birbal ne unki prathna swikar kar li. Badshah ye sab charitar dekh rahe the.


akbar-birbal

Sab baniye ne milkar aapas mein tark–vitark kiya. Unhone socha ki yadi yeh kehte h ki yeh udad ki dal h to badshah khus n honge, kyunki yeh to weh bhi jante hi honge. Kandan-mandan ke siwa abhi baniye kisi niseceh par n pahuche. Tab birbal ne pun: sambhodit kar kaha–kya abhi tak aap logo ki ek rai nahi hui h?

Yeh sun baniyo ka mukhiya thodi si udad ki daal hath mein le bola ki mere malik. Yeh to moong ki dal h. dusre baniye ki aur ishara kiya. To usne kaha ki jahapanah yeh anaaj matar se to kuch chota h kintu naam acchi tarah yaad nahi aata. Teesre ne tatkal utar diya alijaha! Yeh to mirch malum hoti h. badshah – baniyo ki iss be sar pair ki bato ko sun bade hi khijlaye aur bole ki kya tum log apni budhi kahi rakh aaye ho? Yeh udad ki daal h. baniye ne ek sawar se badshah ka samrthan dete hue kaha ki anndata aap thik keh rahe h. wahi h bilkul wahi h. birbal ne pun: parsan kiya ki wahi wahi kya karte ho? Iss ka naam batlaye! Baniya bole hajur wahi jiska naam abhi abhi anndata ne liya h. birbal ne bhi apne baal dhoop mein nahi pakaye the. Birbal bole jo anndata ne kaha h mujhe wo kuch bhi yaad nahi h. aapko batlane mein kya aapati h? baniye bole sarkar hum log bhi kuch bhool rahe h. yeh sun badshah se chup n raha gaya. We bole maine udad ki dal kaha. Baniye ne ek sawar se kaha. Ha, ha, garib parwar wahi. Yeh sab hote hue bhi baniye ne apne mooh se udad ki daal ka naam nahi liya.

Badshah ne unko jane ki ijjazat de di. Jab baniye chale gaye to birbal ne badshah se kaha ki dekha apne baniyo ki chaturayi? Birbal badhe khus hue. Birbal tum bhi kya ho ek se ek majedar baat dhikate ho. Aaj tak maine naam jarur suna tha. Kintu aaj tumne sakhatkar kara diya.



© http://www.rdshayri.com/birbal/baniye_ki_chaturayi.php#ixzz2gepBEMNh

1 comment: