Thursday, October 3, 2013

Sone Ki Talwar

Ek din ki baat h badhsh akbar, birbal ke sath ghode par sawar hokar jana ka dukh dard samjhane ke liye nikle. We bazar se gujar rahe the. Ki achanak akbar ki najar ek budhi satri par padhi, jo apne hath mein myan mein talwar liye khadi thi. Budhi ke hath mein talwar dekh akbar ko janne ki iccha hui. unhone budhi ke karib le jakar ghoda rokte hue pucha-aap talwar lekar iss bazar mein kyu khadi h?
Budhi satri ne dinta bhare sawar mein kaha-aalampanah mein ise bechna chahti hu. Yeh talwar bahut dino se mere ghar par phadi hui thi. Apni garibi aur tangi se tang aakar maine socha shayad hi koi parkhi iska uchit muleh de jaye, taaki meri garibi door ho sake

Badshah ne usse myan li, talwar nikali aur dekhkar use pun: myan mein dal diya. Talwar unhe mehtawhin lagi. Usme jung lag chuki thi, jagah jagah se weh khrab ho chuki thi.
Myan talwar sahit bushi ko unhone saupi hi thi. Ki bushi jhat myan se talwar nikali aur use gaur se dekhne lagi. Badshah akbar muskurae aur kaha- maine aapki talwar badal nahi li h. aap iss parkar pareshan hokar talwar kyu dekh rahi h?
Badshah ke sath ghode par sawar birbal, budhi ki bhudimata parkh chuke the, unhone jhat badshah se kaha - jahapanah budhi iss baat par chakit h ki bujaro ki kahawat aaj jhuti kaise padh gayi?


Bujaro ki kahawat jhuti mein samjha nahi birbal.....?
mein samjhata hu aalampanah, darasal iss aaurat ne sun rakha hoga ki paras ke sampark mein aakar loha sona ho jata h aapne iski talwar hath mein lekar dekhi, iske baad bhi loha hi rahi chakit hone ka to mukam h hi.
bilkul sahi baat- budhi bol padhi.
ooh aisi baat.... birbal ke kathan ka marm samjhkar akbar has pade unhone turant shipahiyo ko aadesh diya ki budhi ko talwar ke barabar sawarn dilwa diya jaye.





Badshah Ka Darp



Ek din badshah akbar ko achanak iss baat ka gamhand ho gaya ki we itni badhe mulk Hindustan ke badshah h, we kya kuch nahi kar sakte. Unhone darp mein bharkar darbariyo se pucha-aisa kaun-sa kaam h jise mein nahi kar sakta
Ek chatukar darbari ne chaplusi karte hue kaha-hujur ka iqbaal bulund ho, aap sab kuch kar sakte h- bas anyay nahi kar sakte, chand aur suraj nahi bana sakte, hujur ke wash mein maut nahi h waise hujur sab kar sakte h
Akbar ne aneh darbariyo ke rai puchi- har kisi ne apne-apne dango se badshah ke badapan ki parsansa ki sabse aakhir mein unhone birbal par dristhi jamai aur pucha-tumne nahi btaya birbal hum kya nahi kar sakte?
jahapanah sach baat to yeh h ki aap bahut se kaam nahi kar sakte
jaise-? badshah ki bhukuti mein bal padhe.
Badsha ki narajagi ki parwah n karte hue birbal ne kaha-jaise aap hatheli par baal nahi uga sakte, aap bukh ko wash mein nahi kar sakte aur to aap gustaqi maaf ho aalampanah- aap aurato ki tarah parsaw pida sehkar bacho ko janam nahi de sakte
Badshah soch mein doob gaye. unhe aabash hua- sachi aur kahri baat kehkar birbal ne unki aankhe khol di h , we birbal ki parshansa kiye baigar na rahe.

No comments:

Post a Comment