Sunday, March 30, 2014

Chirag Tale Andera

Suryaast ka samay tha birbal ke sath akbar badshah mehal ki chat par cahal-kadmi karte prakartik darshe dekh rahe the. Achanak hi ek aue se chilahat ka sawar sunkar badshah ka dhyan bata. Unhone dekha - mehal k eek sire par yaatri ka maal asbaab lootkar kuch chor bhage ja rahe the. Aur bechara yatri dahade maar-maar kar roo raha tha.

Badshah ne tatkal shipahiyo ko choro ke piche dodaya aur lute yaatri ko apne paas bulaya.
Badshah ko iss baat par badha aaschrey hua ki unke samne aur unke mehal ke niche iss tarah ki lut unke samne hui. unhe laga yeh badintjami ka natija h. birbal se bole- jab yaha, meri aankho ke samne aisa hua to pure mulk mein n jane kya-kya hota hoga- iska arth desh mein nagrik suraksa dekh-rekh acchi nahi
Badshah ko iss mamle mein kafi utejit dekh, birbal ne narmi se utar diya-jahapanah, aapne chirag tale andhere wali kahawat to suni hogi. Iss andere ko hum ab door nahi kar sakte. Khair aap chinta na kare, mulk mein har jagah chirag ki roshni ka ujala h
ooh birbal ke chupe arth ko sunkar badshah santust hue. Unhone lute yaatri ko uski wastwik muleh ke saman se kahi jyada wastar, aabhushan dekar use vida kiya.


No comments:

Post a Comment