Sunday, March 30, 2014

Pagdi Bhandne ki Kala


Birbal ke pagdi bandhne ki kala ki badshah akbar taarif kiya karte the. Mulla do-pyaza ko yeh baat nagawar gujarti, unhone kahi dino tak ghar mein ghanto-ghanto jakar koshish ki aur weh din bhi aaya. Unki pagdi job hi dekhta taarif karta.
Badshah bhi uss din taarif kiye baigar na rahe.
wah mulla sahib, aapne to aaj pagdi bandne ki kala mein birbal ko maut dedi
galat bilkul galat..... birbal ne hastshep kiya- pagdi bandhne ki kala mein mulla sahib ki koi khubi nahi, khubi to inki biwi ki h, jisne yeh umda pagdi bandhi h
Matlab... mulla sahab taw kha gaye- yeh pagdi maine khud bandhi h
agar khud bandhi h to yaha sabke samne bandhkar dhikaye- maan jaunga birbal bole. We jante the ki pagdi sheeshe ke samne khade hokar pagdi ke pench dekhkar bandhi jati h. darbar mein koi bhi seesha tha nahi. Mulla do pyaza waisi pagdi dobara baandh hi nahi sakte the.
Mulla sahab taw mein bharkar pagdi khol baithe, use dobara bandhne ki koshish ko to pehli jaisi baat door, har din ki tarah bhi n band saki.
Ulti-sidhi pagdi baandh badshah ne dekh chutki li.
wah mulla sahab aap apna kaam biwi se karwate h aur shreh khud le jate h
Mulla do pyaza aise jhepe ki dobara birbal ki pagdi kala se irsha karna bhul gaye.



Hatheli Par Baal Kyu Nahi


Pet Bhare ka Mausam



Warsha ka ant tha, mausam suhawana ho raha tha, aise mein badshah akbar apne noo ratno ke sath yumna kinare hawakhori kar rahe the. Hawa ka ek thanda jhoka aaya aur badshah ko titura gaya. Mehal lautkar unhone garm kapde pehne, tan thand ka parbhaw gaya.
Badshah ne apne noo ratno se ek parsan kiya-jada hume shit se kapata h, garmi se hum behal ho jate h warsha bhi kastkari hoti h, kahi aa-ja nahi sakte- aakhir kaun sa mausam accha hota h
Noo ratno ne apne apne dang se mausam ki paribahasa dekar badshah ko santust karna chaha, par kar n sake.
Ant mein birbal bole-meri samjh mein pet bhare ka mausam sabse accha hota h
pet bhare ka mausam
Badshah bole- apni baat sapast karo
Pet bhare ka matlab h, khaya-piya sharir hona, sharir nirogi hona, tabhi kahya-piya sharir hoga- rogi sharir ko har mausam stata h pet bhare ka arth aarthik sampanta hoti h aalampanah. Agar aadmi sampan h to weh jade mein garm kapde dharan karke bach sakta h- garmi mein khas ke pardo ke piche arram kar sakta h. insaan agar bukhe pet ho to insaan chahe kitna hi accha kyu n ho, use koi bhi mausam nahi suhayega.
khub, bahut khub badsha ke sath-sath waha upastit sab darbariyo ne birbal ki parshansa ki.

No comments:

Post a Comment