Tuesday, November 5, 2013

Akbar-Birbal Ke Kisse

Badshah Akhbar ke darbar ke sabse praseedh ratan Birbal ko kaun nahin janta. Jo unke 9 ratno mein se sabse alag the.
Jab Kabhi Akhbar ko koi samasya suljhani hoti ya koi kisi bhi kisam ka sawal unke mann mein uthta, ve Birbal ko bulate. Birbal ke paas jawab zarur hota,
Kabhi ussmein koi gehri baat hoti to kabhi koi ajeebo garreb baat, jisse badshah ko apni pareshani ka hal mil jata tha.

akbar_birbal


Samasya chahe ye ho ki hatelliyon pe baal kyun nahin hote ya aam ka ped darbaar mein gawahi de sakta hai ya nahi, ya fir sabhi damadon ko faansi de deni chahiye, Birbal ke paas hamesha boodhimaan poorn aur mazedaar zawab hote. Chahe koi ki bhi kisi bhi kisam ka sawal kyu na ho wo apni budhimani se use hal kar hi dete the.

Yahi kaaran tha Birbal ko Akbar bahut pasand karte the aur anya darbaariyon ko unse jalan hoti thi. Akbar aur birbal ke bahut saare kisse h jissmein chaturayi aur samajhdaari bhari hai. yahi vajah hai ki Birbal ke kisse aaj bhi pasand kiye aur padhe jaate hain.



akbar_birbal
Birbal ke jeevan se judi hui kuch baate. Or kuch sawal akbar ko birbal kaise mile. Kaha par mile. Birbal kaha ke rehne wale the.

Birbal jaisa rattan akbar ko andheri nagri se prapt hua tha. Andheri nagri jiska naam jusi h. Andheri nagri yaani ek chota sa gaon h jo allahabad se 5km ki duri par ganga nadi ke kinare par basa hua h. Aajkal allahabad mein jusi jane ke liye relmarg ki suvidha chalu kar di gayi h. uske sath hi paidal jane ke liye ek extension pul h jo sarkar ne san 1968 mein tayar karaya tha. Ab ek aur bhi pul bana diya gaya h jo jusi tak jane ke liye thik h. Lekin, birbal ke waqt mein aisa koi sadhan nahi tha ki jo jusi ko ellahbad se jodta. Uss waqt keval kisthi hi ek matar sahara tha jisse birbal Allahabad aa sakte the. Jusi aur allahabad (daraganj) ke bich karib 5 kilometer ki duri ka faisla h jisme barsaat mein ganga nadi apne ugar roop mein behti h. Uss waqt shayad yeh doori shayad aur bhi jyada hui hogi.

Birbal andheri nagri ka chopat raja ka mantri hua karta tha. Jusi ke ithihas ka naam andheri nagri likha hua h. waha ke raja ko chopat raja ke naam se jana jata tha. Yeh shayad esliye the ki jusi mein har chij taka sher(kg se kam) milti thi.

Aapne ye mashur Mishal to suni hi hogi

Andheri nagri chopat raja.
Taka sher bhaji taka sher khaja
.

Yaani sabji se lekar ache se acha misthan tak ek taka sher milta tha. Yeh sab kaise hota hoga yeh sab to kehna katin h. kaise we log apne saman ko adjust karte the yeh ek alag ki baat h. lekin, itna aveshe h ki andheri nagri yani jusi ka raja apne vivek se rajye ka koi bhi kaam nahi karta tha. Suna h ki jusi ka raja apna sara kaam birbal ki rai le kar hi karta tha. Jab birbal rajya karta tha, kehne ka matlab yeh h ki jab birbal ki rai par sab kaam hota tha to usne taka sher wale mamle ko bhi bahut soch samjh kar kiya hoga kyunki birbal behad budhimaan, chatur we chalaak insaan tha. Use maat dena koi asaan kaam to nahi tha.
Aisa bhi btaya jata tha ki andheri nagri mein saman bechane walo ka jo saman sham ko bach jata tha use raja khud kharid leta tha.
Agar yeh kaha jaye ki birbal ke samay mein andheri nagri mein har insaan sukhi tha to koi atishokati nahi hogi. Birbal ke kisse or kahani bahut hi majedar aur bhdhumani bhari h jinhe padhne ka apna alag hi aanand h.

No comments:

Post a Comment