Tuesday, November 5, 2013

Birbal Kala Kaise Hua

Birbal ka rang sanwla tha. Ek din darbar ke waqt logo mein manushe ki sundarta or kurupta par behas chidi.
Bahut se log kewal samran kar uski kurupta par has pade. Uss samay birbal darbar mein upastit n the, jab kuch kaloparant birbal lautkar aaya to darbari log use dekhkar jor jor se hasne lage, birbal chahta tha ki unki bas aaksmik hasi ka karan puche. Lekin phir kuch soch–vichar kar chup reh gaya. Idhar udhar ki baat hui. Kuch der mein birbal ko mauka mila to badshah se bola jahapanah aap log badhe hasmukh kyu dhikayi padte h?
Badshah ne kaha– logo ke hasne ka karan tumhari kurupta h, we kehte h sab log gore h aur birbal kala kaise hua.
Birbal bola afsos h ki abhi tak iska karan gyat nahi. Badshah ne kaha bala bina batlaye unn logo ko kaise malum ho. Yadi tum jaankari rakhte ho to batakar sabke bharm ka nivaran karo.
Birbal ne utar diya– jahapanah! Jis samay ishwar ne sristhi ki rachna aaramb ki to sabse pehle pedho aur belo ki rachna ki par itna hi karke weh santusht nahi hua. Itna karke kuch samay aanand ka upbhog karta raha phir usse bhi uttam jivo ki rachna karne ka vichar kar manushe ki rachna ki. Tab usne ati aanadit hokar pehle use roop, dusre dhan, teesre budhi aur chote bal pardan kiya.

Charo chijo ko juda juda rakhkar sab manushe ko farmaya ki inn charo mein jiski jo pasand ho apni icchaanusar le lena iss kaam ke liye kuch samay nirdharit kar diya. Mein budhi lene mein reh gaya. Jab dusri chij lene gaya to samay bhit gaya tha. Esliye khali hath lautna pada. Mein budhi lekar reh gaya aap log to dhan, roop ke lalch mein padh gaye. Iss karan se kurup hua.
Birbal ke iss utar se badhshah aur darbariyo ka mann tut gaya aur phir unn logo ne kabhi birbal ki hasi nahi udhayi.




birbal kala kaise hua

Sadak Kis Taraf Jati H



Ek din badshah subh wayu ka sewan ke liye birbal ke sath jungal mein bahut door nikal gaye. Lautthe waqt rasta bhul gaye. Unhe dusri taraf se aata hua ek dehati mila. Badshah ne use raste ka jaankar samjhkar pucha-bhai yeh sadak kis taraf jati h.?
Uss aadmi ne utar diya– aap log nipat nadan jaan padte h, bhala sadak bhi kahi jati h yeh jad h iss par chalne wali yatri yaha waha aate jaate rehte h. badshah birbal ke sahit uss ganwar se khus ho gaye aur usse ek swaran sikka inaam dekar khus kiya.

No comments:

Post a Comment