Monday, November 4, 2013

Ghee chuna ko marega aur khoja jinda rahe jayega…(Birbal ki kahani)


Garib 12 saal ke birbal ko usaki mata ne sarswaty mantr ki diksha dilayi thi…jab wo 15 saal ka hua paan ki dukan mey baithata…ek din ek khoja aaya aur puchhane laga ki pavbhar chuna milega kya? To birbal ne sarswaty mantr liya hua tha…usaki yogyataye vikasit huyi thi…usane gaherayi mey dekha ki pav bhar chuna khoja kyo le ja raha hai….saari baat birbal ke samajh mey aa gayi…usane khoja ko pucha ki “aap badshah akabar ko pan dene ki sewa karate kya?”Khoja bola, “ha”Birbal bola ki , “aap ke hatho paan mey chuna jyada pad gaya isliye badshah akabar ke munh mey chhale pad gaye hai…wo pareshan ho gaye hai…isliye pavbhar chuna tumase mangaya hai…ab tum chuna lekar jaoge to badshah tumko pavbhar chuna khilayega..aur nahi khaoge to bhi dand milega…”To khoja bahot ghabaraya… “toba toba” karane laga….ab kya hoga?Birbal bola ki , “bhag jayega to bhi sainiko se   pakada jayega…mere paas ghee hai wo le ja..kal jab badshah ke pas jayega to pahale ghee pi kar jaa..to ghee chune ko marega aur khoja jinda rahe jayega….!”15 saal ka birbal akbar badshah ke khoja ko yukti bataya….
..dusare din khoja ghee pikar pavbhar chuna lekar badshah ke samane hajir hua to jaise birbal ne bataya tha waisa hi hua..badshah  ne sainiko ko bulwaya aur apani talware myan se nikalkar taiyyar hone ko kaha… aur khoja ko bole ki , “…nalayak..badtamij kabhi dekha tha kya  itana chuna pan mey daalte huye..laaparwah..dushman ko bhi aisa chuna wala paan koyi khilayega nahi…sipahi thali lekar aao….aur ye pura pavbhar chuna khata hai to thik nahi to maaro…”
..Jaisa birbal ne kaha tha waisa hi hua…khoja ne ghee piya tha isliye chuna khaa liya…ghar gaya..aur dusare din phir badshah ke sewa mey hajir hua..badshah chauka…  “arre tum abhi tak jinda? Pavbhar chuna khakar bhi..ye kaise?”

….Aisa prabhav hai sarswaty mantr ka..aap kya samjhate gurudiksha ko?aap kya samajhate vaidik mantro ko? Anant ki sidhdiya shishy mey pragat karane ki kshamata hai un mey..!!
Vivekanand ne thik kaha tha ki , “manushy ke budhdi ka lakhava hissa upyog mey aata hai to use budhdiman samajha jata hai lekin 99999 koshikaye to abhi bhi pitaare mey band padi hai…”
Manushy ki itani shakti avikasit rahe jati hai…satsang aisi yogyata ke dwar khol deta hai…ek makan aur gadi lekar sansar ke piththu bankar jane ke liye nahi aaye ho tum is duniya mey……paramatma ka amar khajana paane ke liye aye ho…

Badshah ne khoja ko dekha to bola ki abe tu jinda kaise?..akbar badshah nahi janata ki 15 saal ke bachche ki ruh ki chetana sarswaty mantr se jagi hai…andar ki baat jan gaya aur usane khoja ko yukti batayi hai…birbal ko darbar mey bulaya gaya ..sawal jabab huye..birbal ke dhada-dhad jabab sunkar badshah ne puchha hamare mantri banoge? …shapath vidhi ho gaya…

.. birbal 19/20 saal ka hua to sare mantri usake virodh mey sanghatit hokar birbal ki tang khichane ka plan banane lage..badshah ke sabase sundar begam jo thi usake bhai ko contact kar ke bataya ki kaisa bhi kar ke begam sahiba ko kahe ki birbal ko nikal do…..begam ne kaha badshahko  ki, “ is birbal ko nikal do..is kaafar ko nikal do…” badshah ne nahi mana to hatt(jid) bhi kiya..to badshah ne bola ki uska kuchh kasur batao…aisa kuchh socho ki uspe kasoor  thopa jaye to birbal ko nikal denge….to begam ne apane baal khol diye..khatiya khadi kar di…aur baith gayi…aur badshah ko boli ki aap hukum karo birbal ko ki begam sahiba ko rajdarbar mey le aao..mai to yaha se uthane wali nahi..jab birbal se  itana kam nahi hua to jao nikal diya bol dena….Birbal pakke guru ka chela tha…kabhi kisi sundari ko manaya nahi tha…yaha to begam sahiba ko manakar raj darbar le jana tha..chalo ye bhi aaj kar ke dekhate hai…birbal ko jhataka laga ki khatiya khadi kar ke , baal khule chhod ke begam baithi hai…aur badshah bol rahe ki begam ko rajdarbar le aao….to jahapanha itana najuk kaam mere jimme kyo soup rahe hai? Kuchh to hai….usane sare mahel ke sewako ko bulaya..sari baat jan li….shant ho gaya ..planning chali…phir mahel ki dasiyonko bola ki tum bich bich mey aakar aise aise bolana..baki ka mai sambhal lunga…
Birbal begam sahiba ko kaheta hai ki, “ jahapanha aap ko pyar se bulwana chahate hai isliye mujhe bheja hai…begam sahiba rahemat kijiye is garib par…begam sahiba rutha naa kare…humari to jaan nikal jati hai…begam sahiba…”
Itane mey dasi aakar boli ki , “jahapanha ne tumako turant bulaya hai, us shahejadi ko lene ke liye jana hai..jahapanha usase shadi karenge…ye begam nahi aati to marane do usako…”Birbal ne phir aage, “ chaliye begam sahiba ab der na kijiye” kaha…
Itane mey dusari dasi aayi , boli ki , “jahapanha bole ki wo shahejadi to bahot khubsurat hai…wo birbal ko nikal do aisa hatth bhi nahi karegi….birbal ka jahapanha pramoshan kara denge….turant jakar us shahejadi se shadi ka intjam karo….us ruthi begam ko chhodo..tumhare siwa ye kaam dusara mantri nahi kar sakata…”
To begam sahiba boli..  “jo khubsurat shahejadi ki baat jahapanha kar rahe the , usi se shadi karenge kya?” Birbal bola .., “ ji ha begam sahiba… lekin ab der ho gayi … mujhe abhi jana padega…jahapanha ka hukum hai..”
To birbal aage aur begam sahiba usake pichhe… “bhaijaan ab mujhe kaun puchhega? Aap jayiyega nahi…us shahejadi ko layiyega nahi…”

Birbal aage aur begam sahiba pichhe…khule baal, bina parde ke begam sahiba nange pair bhag rahi hai…  “ bhaiyya birbal..is bahen ko bacha lo..”  birbal aage aage..  “nahi begam sahia…jahapanha naraj ho jayenge…”birbal aage aage  aur begam bakari jaisi pichhe pichhe…nange pair chalane se komal pairo mey kankad chubhe , khun bahe raha hai…aise darbaar mey pahunche…akbar badshah uth khade ho gaye.. “arre!! tu to boli thi ki mai ruth ke baithungi..phir aisi be-parda, khule baalo se darbar mey aa gayi…”begam hath jodkar bolane lagi, “ shahejadi ko nahi lao..mai kuchh nahi bolungi…..birbal ko nikalo aisa kabhi nahi bolungi…”to badshah ne birbal ko puchha ye kaise kya.. to birbal bola ki jahapanha aap ki aagya ka palan karane ke liye aisa kahana pada…!! ..to kya birbal begam ruthegi to kaise manaya jaaye aisa corse karane gaya tha kya? J  mai satsang kaisa karana hai aisa corse karane gaya tha kya? Kahi kashi mey pandito se padhane bhi nahi gaya…..bas aatma mey gota marke jo baat kaheta hun..satsang ho jati hai…..sewa ke liye dhan ki jarurat nahi , sewa ke liye kursi ki jarurat nahi…kuchh log sochate dhan aayega tab sewa karenge…lekin aisa nahi hai mere lala , meri laliya…aap ke pas jo bhi yogyata hai usi se sewa karo….lekin jo bhi karo wasana ke bandhan ke liye nahi..dusare ke hit mey..dusare ki yogyata ke liye karo to dekhana kaisa nikhar aata hai…bilkul sidha ganit hai…..bahy aanand ke liye nahi…antar ke aanand ke liye karo…aados pados mey ghar mey saas , nanand, jethani devrani, bahen,  bhabhi… amir, garib ..mayi , bhayi ..jo bhi ho usaka bhala chaho…apane sukh ke liye karate , apani wasana ke liye karate to wo aapaki kshamata ghataati hai….dusare ke dukh mitane ke liye karate to aap ke vyaktitv mey 4 chand lag jaate…aap ko apane antar mey hi paramtma ka aanand ka prasad mil jayega…apani yogyata ko dusare ke liye lagate to apane ko nikharate hai….dusare ka dukh mitate to apane dukho ka ant hota hai…jo akarm karate wo shanti se nahi jite….nishakam karm karane wala jite ji mukt hota hai….

No comments:

Post a Comment