Tuesday, November 5, 2013

Kanjus ka Dershe

Delhi sehar mein ek badha hi kanjus makhi chus rehta tha katin parisharm karne par bhi jo kuch use milta tha uske thode mein apna pet bharta aur baaki jama karta tha, iss tarah uske pass kahi jawarat ho gaye the, uska rehan-sehan aisa tha ki logo ke sehsa vishwas hi nahi ho sakta tha ki iske pass jawarat honge, uska ghar ek mamuli fhus ki jhoadi thi jisme ek tuta–futa ek chota sa ek sanduk mumkin h baba aadam ke zamane ki thi, usi mein apne jawahari ki kathri gudaro mein chipye rakhe tha, devyog se ek din uss fuss ki jhopadi mein aag lag gayi. Kanjus yeh dekhkar dahad markar rone laga. Uska shor sunkar uske ados–pados ke log aa gaye, aur aag bhujane mein madad dene lage kintu weh bhujne ke bjaye adhik badh gayi. Aag ki lapto ko badta dekhkar kanjus aur bhi joro se chila chila kar rone lage. Uska rona sunkar uske pass hi ek sunar usko daat kar bola ki ek kaanse ki kadhai ke liye kyu jaan de raha h.
Kanus yeh sunkar bola–bhai tum to kadhai ko jalte dekh rahe ho kintu mein to apne jwharat ko dekh raha hu yeh sunkar sunar bola ki weh dhan kaha chipa hua h? kanjus ne ungli kar ke sthan koi share se batla diya. Jaha sanduk thi, sunar ke jee mein lalch sama gaya weh bola ki yadi mein jawahrat ko bahar nikal laya to apne manmani chij tumhe dekar baaki rakam le lunga. Adh tejsingh budh serves jata yeh khyal kar kanjus ne sunar ko ijjajat de di. Karta bhi kya kuch bhi n to thoda pana accha h.
birbal ki khahani

Sunar bhi apni jaan jhokim mein daal lalch wash dhadkati hui agni mein khud pada aur sandook liye bahar aaya. Jab aag shant hui to sunar ne kanjus ko kewal sandook dekar baaki jawarat khud le liye yeh dekhkar kanjus ne aankani ki to sawarnkar bola ki tumne pehle hi maan liya tha jo mein chahu weh tumhe de du. Kanjus ne namar hokar kaha ki bhai sahib aapne jaan par khel kar aisa kiya h to aap aadha dhan le lo. Aadha mujhe swikar h, sunar rapatkar bola ki mere tere bich pehle hi shart ho chuki thi ki mein jo chahu use tumhe dedu, ab chalaki se kaam nahi chalega.
Baat dono mein badh gayi kanjus ne bahutera pryas aadha jawaraat pane ko kiya aant mein lachar ho badshah ke yaha naalis ki,
Badshah ne pechida mamla samjh birbal ko bulaya aur sara haal dono se bayan karwaya thodi der ke liye birbal vichar magan ho gaye baad mein birbal ne sunar se pucha ki tum dono ke bich kya sharat hui thi? Sunar bola garib parvar! Hum dono ke bich yeh shart the hui thi ki uss dadkati aag mein parvesh kar jo jawarat wali sandook ko nikal layega weh jo pasand kare dusro ko deve baaki aap leve. Yeh sunkar birbal ne kanjus se pucha ki jo baat sunar kehta h kya yahi h? kanjus ne sawikar kar liya to birbal bola ki phir kyu tum niptara nahi kar lete. Jab sharat ho hi chuki h ab jo wo deta h le lo.
Kanjus ne dukhi hokar kaha aalijaha! Weh to keval sandook mujhe dekar sab jewraat khud le raha h. Birbal ne sunar ko bulaka kaha ki tumhe kaun si chij pasand h. sunar bola hujur jawarat birbal yeh sunkar bole to phir itni baat kyu badhai. Jawaraat ise dedo. sandook tum lelo.
Sunar awak sa reh gaya birbal bola ki tumhi ne to apni sharat mein batlaya ki jo pasand karunga weh inhe de dunga. So tumhe jewraat pasand kiye h inhe dedo baki sandook tum le lo. Sunar kuch n bol saka weh janta . weh janta tha ki birbal kef aisle ka aswikar karunga to jail ki hawa khani padegi jyada lalch ki yahi natija hota h yeh soctha hua khali sandook lekar sunar ghar ko lauta. Kanjus ko jawaraat mil gaye, use lekar birbal ki chaturai se badha parsann hua kyunki unhone dudh aur pani ka bilkul alag-alag kar diya tha.

No comments:

Post a Comment