Tuesday, November 5, 2013

Birbal ki Salah

Ek din badshah akbar kisi karan apni pyari begam se naraj ho gaye or unka gussa itna badha ki unhone apni uss begam ko mehal se nikal jane ki aagya dedi.
uss hukum ko sunkar begam ne badshah ko parsan karne ki bahut koshish ki, par sab bekar. jab begam ne dekha ki rone weh gidgidane se kaam banne ki bjaye bigadne ki hi sambhawana h to usne badshah ki aagya ka palan karna hi uchit samjha. apni bandi ko jaruri saman bandne ki aagya dekar begam badshah ke samne chalte samay maafi maange gayi.
badshah ne apni aagya mein pariwartan nahi kiya weh begam se bole-"tum apni pasand ki ek chij jo tumhe sabse acchi lagti ho, mehal se le ja sakti ho"
lachar hokar begam apne mayke jane ko tayar hui. lekin usi waqt use birbal ki yaad aayi aur turant hi usne birbal ko bulwaya. jaise hi birbal aaye. begam ne sab baate keh sunayi aur unse badshah ko parsan karne wali tarkib btane ki prathna ki. birbal unhe jaruri salaha dekar wapas chale gaye.
ab begam ka maal-asbab gaadiya par lada jane laga aur begam ke liye palki sajai jane lagi. mehal chodne se purv begam ke liye palki sajayi jane lagii. meghal chodne se purv begam phir badshah ke pass aayi auur aankho mein aansu bharkar boli-"jahapanha, jab aap mujhe humesha ke liye vidayi de rahe h to aaj meri ek arji manjur kijiye, aapki daasi aaj chalte waqt apne hatho se aapko ek glass jaam-e-sharbat pilana chahati h. ab n jane kab aisa mauka mile"



Birbal Ki Insaaf


begam ke vinit sawar ko dekhkar badshah pighal gaye aur use anumati dedi. phir kya tha begam ne badiya sharab se bhara glass badshah ko lakar pilaya. sharab ke nashe mein badshah bekhbar ho gaya. begam ne awsar pakar birbal ki salah ke ansuar ek palki par badshah ko sulakar aur ek mein khud baithkar mayke ka marg liya. waha pahuchkar badshah ko palang mein letakar khud unke pass baith gayi. raat bhar badshah ki nigrani karte karte rani raat ko bhi n soyi thi aur waha baith baithe unki aankh lag gayi. badshah ke jagte hi rani ki bhi aankh khul gayi aur weh baithkar unhe pankha karne lagi.

badshah ne begam se pucha-"mein kaha hu"
begam ne kaha-"jahapanah aap apni sasural mein h"
badshah ne pucha-"mein yaha kaise aaya"

begam ne namarta purwak kaha -"hujur aap hi ne to kaha tha ki mein apni manpasand chij lekar mehal se chali jau. mein kasam khakar kehti hu duniya mein aap se jyada meri liye koi pyara nahi h aur aap hi mere mannpasand ho" esliye maine aapko hi sath lana uchit samjha.
begam ne prempurn vachno se badshah ka gussa shant ho gaya aur unhone begam ka kasur maaf kar diya. wapas aakar begam ne birbal ko bahut dhanywad diya. aur bahut saare jawarat use uski salaha ka inaam diya.

No comments:

Post a Comment